Tum Nahin To Jaise Mere Lyrics

in

"Tum Nahin To Jaise Mere" Song Details:

Album/Label: Tum Yaad Aaye (1997)
Singer(s):Alka Yagnik
Lyricist(s):Javed Akhtar
Composer(s):Raju Singh
Music Director(s):Raju Singh
Genre(s):Love

Tum Nahin To Jaise Mere Lyrics – Alka Yagnik

Ek samay tha ki fizaaon mein sangit ghula tha
Hawayein ghanere paidon mein
Chhup ke apni raginiyan sunati thi
Phool jhunte the pattiyan sarsarati thi
Nadiyaan jharne panchhi
Sabhi to gungunaa rahe the
Ab jab tum nahin ho to apni aawaaz bhi
Sunaayee nahin deti

lyricsbogie.com
Tu nahin to jaise mere hothon se
Geet hi kho gaye saare
Tu nahin to mere liye
Mere sur ajnabi ho gaye saare
Sunle tu meri khamoshiyon ki sadaa
Ab aa bhi jaa
Sunle to woh bhi maine nahin jo kahan
Ab aa bhi jaa
Tu nahin to jaise mere hothon se
Geet hi kho gaye saare
Tu nahin to mere liye
Mere sur ajnabi ho gaye saare

Kaise main kahoon hairaan si hoon
Kaisi ajab si baat hai
Lekin tere bin hote nahin din
Bas ek lambi raat hai
Sunsaan raahein sehmi hui hai fizaa
Ab aa bhi jaa
Tu nahin to jaise mere hothon se
Geet hi kho gaye saare
Tu nahin to mere liye
Mere sur ajnabi ho gaye saare

Waise to yahn ho ke meherban
Milne ko aaye log hain
Tu hai par kahan mere hum zaban
Yeh to paraye log hain
Mera nahin hai koi bhi tere siwa
Ab aa bhi jaa
Tu nahin to jaise mere hothon se
Geet hi kho gaye saare
Tu nahin to mere liye
Mere sur ajnabi ho gaye saare

Sunle tu meri khamoshiyon ki sadaa
Ab aa bhi jaa
Sunle to woh bhi maine nahin jo kahan
Ab aa bhi jaa
Tu nahin to jaise mere hothon se
Geet hi kho gaye saare
Tu nahin to mere liye
Mere sur ajnabi ho gaye saare

Tu nahin to jaise mere hothon se
Geet hi kho gaye saare
Tu nahin to mere liye
Mere sur ajnabi ho gaye saare
Tu nahin to jaise mere hothon se
Geet hi kho gaye saare
Tu nahin to mere liye
Mere sur ajnabi ho gaye saare.

Tum Nahin To Jaise Mere Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.