Yeh Kaise Duniya Wale Lyrics – Madhu Chandra, Chetan
Mati ke mol bikati hai ajamat garib ki
Yeh kaise duniya wale hain
Tan ujhale hai mann kaale hain
Yeh kaise duniya wale hain
Tan ujhale hai mann kaale hain
Yeh kaise duniya wale hain
Jab kisi garib ke aangan mein
Koi khilke kali muskati hai
Jab kisi garib ke aangan mein
Koi khilke kali muskati hai
In paapi duniya walo ki
In paapi duniya walo ki
Aankhon mein hawas aa jati hain
Aankhon mein hawas aa jati hain
Yeh sukhi roti ke badle
Tan badan kharidane wale hain
Yeh kaise duniya wale hain
Jab laaz ki chudi tuti hain
Sindur ka rang pighalta hain
Jab laaz ki chudi tuti hain
Sindur ka rang pighalta hain
Uss waqt garib ke sine mein
Uss waqt garib ke sine mein
Ik jwaalamukhi jal uthata hain
Ik jwaalamukhi jal uthata hain
Phir khud hi juba ban jate hain
Yeh hoto ke jo taale hain
Yeh kaise duniya wale hain
Bhagwan bata kyu dhan wale
Nirdhan par aisa zulm kare
Bhagwan bata kyu dhan wale
Nirdhan par aisa zulm kare
Kyu ablavo ki maang mein yeh
Kyu ablavo ki maang mein yeh
Sindur ke badle rakh bhare
Sindur ke badle rakh bhare
Yeh aap hi izzat lutate hain
Jo izzat ke rakhwale hain
Yeh kaise duniya wale hain
Tan ujhale hain mann kaale hain
Yeh kaise duniya wale hain.