Hamne Dekhi Duniya Lyrics

in

"Hamne Dekhi Duniya" Song Details:

Movie: Bhola in Bollywood (2004)
Singer(s):Sonu Nigam
Genre(s):Masti
Director(s):Sumbul Gazi
Starring:Siraj Khan, Bharti Sharma, Alok Nath, Avtar Gill, Raza Murad, Ajit Vachchani, Ali Asgar, Virendra Saxena, Raj Babbar, Suresh Chatwal, Shammi Kapoor, Vinod Khanna, Razzak Khan, Rajesh Puri
Release on:15th October, 2004

Hamne Dekhi Duniya Lyrics – Sonu Nigam

lyricsbogie.com
Hamne dekhi duniya dekha sara zamana
Hamne dekhi duniya dekha sara zamana
Jo hai hamne dekha tumko bhi hai sunana
Jo hai hamne dekha tumko bhi hai sunana
Do cheezo ne bana ke rakha duniya ko deewana
Hindustani khana hindustani gana
Hindustani khana hindustani gana

Yug yug ki parampara hai jo chalti aj tak aye
Yug yug ki parampara hai jo chalti aj tak aye
Apne ghar se bhukha koi na jane paye
Sabri ke ber the juthe par sradha ki wo sachi
Sabri ke ber the juthe par sradha ki wo sachi
Sudama ki bhi niyat girdhar ko lagi thi achi
Bhikshuk ki hoti pariksha bhala aisa kahi hai hota
Phadosi jo ho bhukha dil apna bhi hai rota
Ye pet se dil ka rasta ye jane har bhayata
Na khale jab tak swami nahi khana muh mein jata
Diwali ki mithaiya idd ki mithi sewayiya
Pardesh mein desh ke khane kam kar dete hai duriya
Bachpan ki yade purani hum sab ki ek kahani
Wo maa ke hath ka khana jo laye muh mein pani
Wo dadi maa ki sigdi sardi mein pake jo rabdi
Or nani maa ka khilana wo asli ghee mein khichdi
Wo khet mein pina lassi lassi pe malayi moti
Sarso ke sag se khana makke di sondhi roti
Ye hai ibadat ye hai pooja isko adab se khana
Hindustani khana hindustani gana
Hindustani khana hindustani gana

Lori sunake maa ne ghutti mein swar utara
Lori sunake maa ne ghutti mein swar utara
Sangeet ki sangat mein jeevan hai hamne gujara
Koi khusi ho ya gum sangeet hamesha hardam
Koi khusi ho ya gum sangeet hamesha hardam
Garba hai kahi to kahi chham chham bharatnatyam
Dulhan ki uthe jab doli ya brij bhumi ki holi
Chan chan chanke ghunghru or dhol bajaye dholi
Jeevan ke har ek raas mein sangeet ne rang hai dala
Vardan mila ye hamko murli sune jab radha
Hai krishan ki kisme lila meera ki kisme krida
Ye bole saki boli hai gor ki isme kavita
Galib ki isme gajle wo sant kabir ke dohe
Or heer ki sun ke bolo bhala koi kyu na roye
Wo khusharo ki kawalli wo sur wo taal wo tali
Tansen ne jalaya pani badi mithi hai gurbani
Ajmer ki jaa wo dargah ya sirdi ke sai baba
Surtal bahe sab ganga geeto mein geet ranga
Sare jaha ne ab ye mana india ka hai jamana
Hindustani khana hindustani gana
Hindustani khana hindustani gana
Hindustani khana hindustani gana
Hindustani khana hindustani gana

Hindustani khana hindustani gana
Hindustani khana hindustani gana.

Hamne Dekhi Duniya Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.