Ghirta Hai Agar Andhera Lyrics – Chandru Atma (C. H. Atma)
Ghirta hai agar andhera
Gham na kar gham na kar
Do ghadi me muskurayegi
Sahar tu gham na kar
Ghirta hai agar andhera
Gham na kar gham na kar
Dhal gaya ik aur din
Achha hua samajho
Zindagi jitni kati gham
Kam hua samajho
Shukr kar kuch kam hua
Ye zidgani ka safar
Ghirta hai agar andhera
Gham na kar gham na kar
Ye sitare jal ke bhi
Khush hai rat ke angare
Ye sitare jal ke bhi
Khush hai rat ke agaare
Geet ye ummid ka ro dho
Ke ga rahe hai ye bichare
Tu kahe ghabraye
Kahe tu dare kahe
Nindiya na aaye
Man more haye
Tu kahe ghabraye
Kahe tu dare kahe
Nindiya na aaye
Rakh tu sambhal
Ke dil ki ye daulat
Aansuo ke moti
Kahe ko ganwaye
Aansuo ke moti
Kahe ko ganwaye
Man more haye
Man more haye
Tu kahe ghabraye
Kahe tu dare kahe
Nindiya na aaye
Man more haye.