Vidhi Ne Dekho Birah Lyrics – Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur
Vidhi ne dekho birha milan ka
Kaisa khel rachaayaa
Athaah saagar ram kathaa hai
Athaah saagar ram kathaa hai
Paar nahin koi paayaa
Vidhi ne dekho birha milan ka
Kaisa khel rachaayaa
Aa aa aa
Tyaag siyaa ko prabhu ke man mein
Chhaa gayi ghor udaasi
Rajmahal mein rah kar bhi
Raghuveer bane banwaasi
Aa aa aa
Pal ka bhojan
Trin ki shaiyya
Neend nahin nainan mein
Uthhe hiyaa mein peer pukaare
Siyaa siyaa siyaa siyaa
Siyaa siyaa hi man mein
Siya siya hi man mein
Vaidehi ke virah shok
Mein vyaakul hain raghuraya
Athaah saagar ram kathaa hai
Paar nahin koi paayaa
Ram shri ram
O o ram shri ram
Yahaan janki jape nirantar
Ram naam ki mala
Rahi chhupaayi man hi man mein
Ram virah ki jwaalaa
Surya dev ki kare archana
Tulsi mein jal daale
Gau mata ko tilak kare
Hirnon ke chhaune paaley
Kabhi chandra mein
Ram chandra ki chhavi ki chalna hoti
Aa aa aa aa
Aa aa aa
Kabhi chandra mein
Ram chandra ki chhavi ki chalna hoti
Darshan pyaasi bhramit baawri
Ankhiyaan kabhi na soti aa aa
Kaaya se chhaaya bichhdi jyun
Brahm se bichdi maayaa
Athaah saagar ram kathaa hai
Paar nahin koi paaya.