Dil Jawaan Hai Lyrics – Talat Mahmood
Dil jawaan hai aarzoo jawaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Dil jawaan hai aarzoo jawaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Dilrubaa hai apne aap se khafaa
Dhari rahegi har adaa
Jo dil kisi pe aa gaya
Guroor e dil rahega phir kahaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Wo husn kya jo rooth ke
Nigaah ko na pher le
Wo ishq kyaa jo chhed ke
Na zulf ko bikher de
Wo soz kyaa uthhe na jo dhuaan
Ik nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Main jaantaa hoon ae pari
Jhukhi jhukhi nazar teri
Uthi to haar jaayegi
Zaroor muskuraayegi
Na chhup sakegi dil ki daastan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Dil jawaan hai aarzoo jawaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Ajeeb dard pyaar bhi,
Ke geet bhi bahar bhi
Nasha bhi ha khumar bhi,
Fizaa bhi hai bahaar bhi
Yehi hai do dilon ki daastaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Garoor hai na shaan hai
Har ek adaa jubaan hai
Ye kaisa imtihaan hai,
Ke husn meharbaan hai
Zameen pe jhuk raha hai aasmaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan
Tadap qaraar ban gayee
Fizaa bahaar ban gayee
Dabi dabi jo aag thhi
Kisi ka pyaar ban gayee
Main aa gayee wahin hai dil jahaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berooki
Kab talak rahegi chup jubaan
Dil jawaan hain aarzoo jawaan
Ek nazar idhar bhi meharbaan
Kab talak ye hamse berukhi
Kab talak rahegi chup jubaan.