Kabira Roye Ya Muskaaye Lyrics – Lata Mangeshkar
Kabir khada bazar mein
Sab ki mange khir
Na to kisi se dosti
Na to kisi se bair
Khilate hi mujhaye
Ek jagah phul khile aur
Khilate hi mujhaye
Is do rangi duniya ka raaj
Samjh na aaye
Kabira roye ya muskaaye
Kabira roye ya muskaaye
Arey ho ho ho
Ek dhan vale bazigar ne
Mahal ko banvaya
Jis nirdhan karigar ne
Apna khoon pilaya
Mehnat ke badale me usne
Hath apne katvaye
Kabira roye ya muskaaye
Kabira roye ya muskaaye
Arey ho ho ho
Chir ke is dharti ka sina
Bij kisi ne boya
Na din ko aaram kiya na
Raat ko palbhar soya
Khet pake to uske dane
Aur koi kha jaye
Kabira roye ya muskaaye
Kabira roye ya muskaaye
Arey ho ho ho
Badi purani ho gayi duniya
Aao ise jala de
Jal jaye to rakh se is ki
Dunia nayi basa de
Sab ka sathi is duniya ka
Har banda kahlaye
Kabira dekh dekh muskaaye
Kabira dekh dekh muskaaye
Kabira dekh dekh muskaaye.