Jab Aa Hi Gaye Hai Lyrics – Asha Bhosle, Badrinath Pawar, Mahendra Kapoor, Shankar Dasgupta
Kuchh kar ke yaha se jayenge
Ya apni murade payenge
Ya marke yaha se jayenge
Jab aa hi gaye hai dar pe tere
Daulat ke nashe me chur hai tu
Insan se najre fer nahi
Bhagwan ke ghar me der to hai
Nadan magar andher nahi
Nadan magar andher nahi
Insaf ki chakki me ek din
Insaf ki chakki me ek din
Sab log yaha pis jayenge
Jab aa hi gaye hai dar pe tere
Kuchh kar ke yaha se jayenge
Ya apni murade payenge
Ya marke yaha se jayenge
Jab aa hi gaye hai dar pe tere
Dunia ke khazane tu hi bata
Wo kaun the jiske sath gaye
Apni to najar me jo the wahi
Sab log hi khali hath gaye
Sab log hi khali hath gaye
Tu lakh na samjhe fir bhi tujhe
Tu lakh na samjhe fir bhi tujhe
Ye bat magar samjhayenge
Jab aa hi gaye hai dar pe tere
Kuchh kar ke yaha se jayenge
Ya apni murade payenge
Ya marke yaha se jayenge
Jab aa hi gaye hai dar pe tere
Kab chain se jine dengi tujhe
Madlum garibo ki aahe
Kab chain se jine dengi maglum
Madlum garibo ki aahe
Kato me dhakelengi yahi tujhko
Teri hi balaye ye rahi
Teri hi balaye ye rahi
Hum dard se to tadpenge
Lekin tujhko bhi tadpayenge
Jab aa hi gaye hai dar pe tere
Kuchh kar ke yaha se jayenge
Ya apni murade payenge
Ya marke yaha se jayenge
Jab aa hi gaye hai dar pe tere.