Aansoo Ko Pasine Mein Badlo Lyrics

in

"Aansoo Ko Pasine Mein Badlo" Song Details:

Movie: Pyaar Ka Rishta (1973)
Singer(s):Mohammed Rafi
Lyricist(s):Indeevar
Composer(s):Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Director(s):Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Genre(s):Philosophical
Director(s):Sultan Ahmed
Music Label:© Saregama
Starring:Vinod Khanna, Shatrughan Sinha, Mumtaz

Aansoo Ko Pasine Mein Badlo Lyrics – Mohammed Rafi

lyricsbogie.com
Aansoo ko pasine mein badlo
Mehnat se naseeb badalta hai
Ye itna hi sach hai itna
Suraj har roz nikalta hai
Aansoo ko pasine mein badlo
Mehnat se naseeb badalta hai
Ye itna hi sach hai itna
Suraj har roz nikalta hai

Ek pal mein chhupa hai ek jiwan
Ek pal na bitana bato mein
Kismat na sitaro mein dekho
Kismat hai tumhare hatho mein
Bato se kuchh bhi nahi hota
Hatho se hi kuchh banta hai
Mehnat ka naam hai tajmahal
Mehant ka naam azanta hai
Insa ka pasina girte hi
Pathar se phul niklta hai
Ye itna hi sach hai itna
Suraj har roz nikalta hai
Aansoo ko pasine mein badlo
Mehnat se naseeb badalta hai
Ye itna hi sach hai itna
Suraj har roz nikalta hai

Ek roz to daulat ke badle
Mehnat ka sikka chalna hai
Mehnat ka sikka chalna hai
Sara sansar badalna hai
Jab mehnat ki kimmat hogi
Chandi na kahi chal payegi
Sikko me nahi dhal payegi
Mehnat ko nahi chhal payegi
Hatho ki takat ke age
Parbat ka dil bhi dahelata hai
Ye itna hi sach hai itna
Suraj har roz nikalta hai
Aansoo ko pasine mein badlo
Mehnat se nasib badalta hai
Ye itna hi sach hai itna
Suraj har roz nikalta hai.

Aansoo Ko Pasine Mein Badlo Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.