Aaj Chhedo Mohabbat Lyrics

in

"Aaj Chhedo Mohabbat" Song Details:

Movie: Son Of India (1962)
Singer(s):Lata Mangeshkar
Lyricist(s):Shakeel Badayuni
Composer(s):Naushad Ali
Music Director(s):Naushad Ali
Genre(s):Sad
Director(s):Mehboob Khan
Music Label:© Saregama
Starring:Kamaljit, Simi Garewal, Kumkum, Sajid Khan, Jayant
Release on:9th September, 1962

Aaj Chhedo Mohabbat Lyrics – Lata Mangeshkar

Aaj chhedo mohabbat ki shehnaiya
Aaj chhedo mohabbat ki shehnaiya
Dil ke tukde huye aur jigar lut gaya
Dil ke tukde huye aur jigar lut gaya

Gam kisi ko mila aur kisi ko khushi
Gam kisi ko mila aur kisi ko khushi
Ek ghar bas gaya ek ghar lut gaya ho
Dil ke tukde huye aur jigar lut gaya

Ek taraf apne dube sitaro ka gam
Ek taraf apni lutati baharo ka gam
Dil ke lutne ki kis se shikayat karu
Dil ke lutne ki kis se shikayat karu
Kuchh idhar lut gaya kuchh udhar lut gaya
Dil ke tukde huye aur jigar lut gaya

Kisko apna kahu ab main jau kaha
Koi dekhe mohabbat ki majburiya
Dil lagaya to dil ki khushi mit gayi
Dil lagaya to dil ki khushi mit gayi
Sar jhukaya jo maine to sar lut gaya

lyricsbogie.com
Dil ke tukde huye aur jigar lut gaya
Bujh gaya dil to ab roshani kya karu
Lekin ujdi huyi zindagi kya karu
Dil ki kismat me likhi thi nakamiya
Dil ki kismat me likhi thi nakamiya

Lakh maine bachaya magar lut gaya
Dil ke tukde huye aur jigar lut gaya
Gam kisi ko mila aur kisi ko khushi
Gam kisi ko mila aur kisi ko khushi
Ek ghar bas gaya ek ghar lut gaya
Dil ke tukde huye aur jigar lut gaya

Jai shiv shankar
Hey ram rakh lo mei laz
Leke tuta huya dil kidhar jaungi
Nachate nachate aaj mar jaungi
Jai shiv shankar.

Aaj Chhedo Mohabbat Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.