Bas Yehi Sochke Lyrics – Abhijeet Bhattacharya
Bas yahi soch ke khamosh main reh jaata hu
Ke kisi roj toh iss baare me tum sochogi
Main tumhe dekh ke kyun aise machal jaata hu
Jagmaga uthatee hai kyun meri nigahein ekdam
Main hamesha isi janib kyun chala aata hu
Kuchh toh kehna hai mujhe, baat koi toh hogi
Kuchh toh kehna hai mujhe, baat koi toh hogi
Mujhse tum khud hi isharo se kabhi puchhogi
Bas yahi soch ke khamosh main reh jaata hu
Bas yahi sochke khamosh main reh jaata hu
Ke agar hausala karke main tumhe keh bhi du
Toh kahin toot na jaaye yeh bharam karta hu
Jisne masum banaya hai tumhare dil ko
Jiske saaye mein tumhe apna kaha karata hu
Yeh bharam gham ke dhue mein na kahin kho jaaye
Yeh bharam gham ke dhue mein na kahin kho jaaye
Dil ke jazbon ki na tauhin kahin ho jaaye
Bas yahi sochke khamosh main reh jaata hu
Yu agar sun bhi liya tumne meri baato ko
Thaam bhi logi chalo mana mere hatho ko
Apni aankho ke sitaro se jagaaogi mujhe
Apni aagosh ki khushbu mein basaaogi mujhe
Aur jab tum meri pehchan si ban jaaogi
Jaan keh keh ke meri jaan si ban jaaogi
Log aa jaayenge phir bich me lekar rashme
Mujhse gumraah karenge tumhe karke bas me
Yeh bhi ho sakta hai duniya se tum takara jaao
Yeh bhi ho sakta hai ruswaai se ghabra jaao
Aur mumkin hai ke najaro se gira do mujhko
Tum hamesha ke liye dard bana do mujhko
Bas yahi soch ke khamosh main reh jaata hu.