Aisi Chiz Sunaye Kee Lyrics – Mohammed Rafi
Aisi chiz sunaye ki
Mehfil de tali pe tali
Varna apna nam nahi
Banne khan bhopali
Munne miya badhayi
Bano khush honhar
Dono jahan ki kushiya
Ho aap pe nisar
Bachapan ho kushgavar
Jawani sadabahar
Allah kare yeh din
Aaye hajar bar
Jisne yeh raz jana
Jina toh hai usi kaa
Jisne yeh raz jana
Hai kam aadmi kaa
Auro ke kam aana
Jina toh hai usi kaa
Jisne yeh raz jana
Kisi ne kaha too
Hai taro kaa raja
Kisi ne kaha aja
Mere paas aja
Kisi ne duwa di
Kisi ne di badhayi
Sabki ankho kaa
Too tara bane
Teri hi roshani me
Chamke tera gharana
Hai kam aadmi kaa
Auro ke kam aana
Jina toh hai usi kaa
Jisne yeh raz jana
Dil lagakar too padhana
Hamesha aage badhana
Sach kaa daman naa chhute
Chahe yeh dooniya ruthe
Kam too achha karna
Sirf allah se darna
Sabhi ko gale laga kar
Muhabbat me lut jana
Mohabbat woh khajana hai
Kabhi jo kam nahi hota
Hai jiske pas daulat use
Kuch gam nahi hota
Mera tera karke jo marte
Gore kaale me bhed karte
Unako yeh samajhana sab log
Hai barabar etna na bhul jana
Hai kam aadmi hai kam
Aadmi kaa auro ke kam aana
Jina toh hai usi kaa
Jisne yeh raz jana
Surat pe masha allah
Woh bat hai abhi se
Tadapenge dil hajaro
Gujaroge jis gali se
Doli me jab bithakar
Laoge phuljhadi ko
Jinda rahe toh ham bhi
Dekhenge us ghadi ko
Agar allah ne chaha toh
Ham us dil bhi ayenge
Badhayi hamne gayi hai toh
Ham sehra bhi gayenge
Agar allah ne chaha toh
Ham us dil bhi ayenge
Badhayi hamne gayi hai toh
Ham sehra bhi gayenge
Chand suraj bhi ayenge niche
Dulha dulhan ke pichhe
Phul barchhaenge ayega jab
Khusi ka hasta hua jamana
Hai kam aadmi hai kam
Aadmi kaa auro ke kam aana
Jina toh hai usi kaa
Jisne yeh raz jana.