Ab Ke Baras Lyrics – Mahendra Kapoor
Ab ke baras ab ke baras
Tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras ab ke baras
Tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras teri pyaason
Me paani bhar denge
Ab ke baras teri chunar
Ko dhaani kar denge
Ab ke baras
Ye duniya to faani hai ho
Behta sa paani hai ho
Tere hawaale ye zindgaani
Ye zindgaani kar denge
Ab ke baras ab ke baras
Tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras
Duniya ki saari daulat se
Izzat hum ko pyaari
Mutthi me kismat hai apni
Hum ko mehnat pyaari
Mitti ki keemat ka jag mein
Koi ratan nahi hai
Zillat ke jeevan se badtar
Koi kafan nahi hai
Desh ka har deewana apne
Pran cheer kar bola
Balidaano ke khoon se apna
Rang lo basanti chola
Ab ke humne jaani hai ho
Apne mann mein thaani hai ho
Hamlaawaro ki khatam kahani
Khatam kahani kar denge
Ab ke baras ab ke baras
Tujhe dharti ki rani kar denge
Ab ke baras
Sukh sapno ke saath hazaaron
Dukh bhi tu ne jhele
Hasi khushi se bheege phaagun
Ab tak kabhi na khele
Chaaron or hamaare
Bikhre baroodi afsaane
Jalti jaati shama jalte
Jaate hain parwaane
Phir bhi hum zinda hain
Apne balidaano ke bal par
Har shaheed farmaan de gaya
Seema par jal jal kar
Yaaron toot bhale hi jaana
Lekin kabhi na jhukna
Kadam kadam par maut milegi
Lekin phir bhi kabhi na rukna
Bahut seh liya ab na sahenge
Seene bhadak uthe hai
Nas nas mein bijli jagi hai
Baazoo fadak uthe hain
Singhaasan ki khayi karo
Zulmo ke thekedaaron
Tum apni maut nihaaro
Angaaro ka jashan banega
Har shola jaagega
Balidano ki is dharti se
Har dushman bhaagega
Humne kasam nibhani hai
Deni har qurbani hai
Humne kasam nibhaani hai
Deni har qurbani hai
Apne saron ki apne saron ki
Antim nishaani bhar denge
Ab ke baras ab ke baras.